Tags
writer’s note:
while reading it, please give proper emphasis on the two parts separated by comma. “dard” and “muskuraata hai” isn’t meant to be read as “dard muskuraata hai”.
Bolta hai kucch mujhse,
Par kehte kehte chup ho jaata hai.
Door se aanhein bharta,
Dard, muskuraata hai.
Darta hai unn deewaaron se,
Patthar ki buni lakeeron se.
Khaamoshi mein sehta, aage badhta,
Dard, muskuraata hai.
Sheeshon ko dekhta,
Todkar, unke tukde nihaarta hai.
Khud ki parchaayin se bhaagta,
Dard, muskuraata hai.
Peshaane pe lakeerein,
Aur aankhon ke aansu chupaata hai,
Par shabdon ka mohtaaj nahin ye,
Dard, muskuraata hai.
Sharmaata hai,
Phir mudke chala jaata hai.
Phir door se dekh,
Khilkhilaata,
itraata hai,
Dard,
dard muskuraata hai.