Chalo bete, bahar jaao,
Shaam ho rahi hai,
Thoda ghoom ke aao.
Dost intezaar kar rahe honge aapke,
Abhi umar hai,
Khelo, koodo, muskaraao,
Beta, bachhe ho abhi aap.
..
..
Arre, abhi tak bahar?
Waqt ka andaaza naa laga,
Yaa dimaag shaitaan ko de aayin aap?
Padhai karni hai,
Hazaaron cheezein hain zamaane mein,
Kab samjhoge,
Beta, bade ho rahe ho aap.
..
..
Haan, pata hai humein,
Wo aapke bachpan ka dost hai,
Magar hamaari izzat ka bhi kucch karo lihaaz.
Mahaulle waale kya sochenge?
Ek hi to beti hai hamaari,
Naam kharaab hua to jaayenge kahan?
Sharma ji ki dekho beti,
Government school mein padhke laayi hai 85%,
Private school mein padhke kya yahi seekha aapne?
Kab samjhoge?
Bete bade ho rahe ho aap.
..
..
Haan, maana aap bade doctor ho,
Bade sheher mein rehte ho,
Lambi gaadi hai aapki!
Magar humaari zindagi to yahin hai.
Biraadari kya sochegi?
Nahin beta, maana wo bhi doctor hai,
But apni jaat ka to hai nahin.
Hamaare khaandaan mein kisi nein aisa nahin kiya,
Komal chaachi ki betiyon ko dekho,
Kaise dhoom dhaam se vidaayi ki thi.
Sirf apne baare mein mat socho gudiya,
Beta maan jaao,
Beta,
Beta bade ho gaye ho aap.