Aansu jhalakte hain,
Khud se sawaal kurte hain.

Ye chot tune kahan se khaayi hai,
Ya kahin khud ko pahunchaayi hai.

Akelapan kisi ko nahin bhaata,
Sooni sadkein sooni galiyan dekh dil bhar aata.

Nasha ek zarurat ban jaata,
Saare pal kaatne ki himmat ye dilaata.

Jawaabon ka saamna nahin karna,
Sawaalon se itraate hain,
Galatiyan jhelne ka hosla nahin,
Phir bhi unhe baat bebaat dohraate hain.

Itna gir chuke hain ke chalne se darte hain,
Ladai ke maidaan jaane se mukarte hain.

Dhoop jhel jhel ke thak chuke,
Ek suhaani chaanv ke sapne hain.

Saare apne paraaye hain,
Saare paraaye apne hain.