Aankhein abhi bhi nam hain,
Manzilein hain kareeb phir bhi thoda gam hai.

Khinchi hui hain lakeerein peshani ki,
Kho gayi hai kahin chah kucch paane ki.

Gum hai muskaan door kisi kone mein,
Zinda hai umeed kho ke khush hone mein.

Umang hai, ehsaas nahin,
Sarovar hai par pyaas nahin.
Shuruwaat hai, buniyaad nahin,
Kahaani ye kaisi antt jhalkaati nahin.

Nasha sharaab mein hota to naachti bottal.
Khushi sacchai mein hoti to jagmagaati hakeekat.

Naa raasta, naa manzil, naa chah, naa sacchai,
Chal chale hain kiss raah par,
Har mod pe toofan,
Har mod pe khaai.

Advertisement